Sangwaari Salman Ali Lyrics

Sangwaari Lyrics — Salman Ali

Song Details

Sangwaari Salman Ali Lyrics

Jeene se accha marna hai
Yun mujhe tadapta chhod diya
Ab maut hi apni lagti hai
Tune dil ko aise tod diya

Khwab samete palkon se
Aansu ka katora toot gaya
Auron ki shikayat kya karana
Dil yaar hi mera loot gaya

Are ja re Sangwaari
Teri dekh li yaari

Prem gali ati saankari
Ye kissa bada anokha hai
Jispe humein bharosa hai
Usse hi milta dhokha hai

Sabhi pyaar ke panno par
Jhoothe likhe afsane hain
Gairon ki baatein kya karni
Hum apnon ko pehchaane hain

Are ja re Sangwaari
Teri dekh li yaari

Khushi ke aansu aane the
Ab khoon ke aansu aaye hain
Raston ne to saath diya hai
Manzil ne thukraye hain

Sapno ka sheesh mahal tune
Ik pal mein chakanachoor kiya
Is toote dil ke saath mujhe
Ab marne pe majboor kiya

Are ja re Sangwaari
Teri dekh li yaari