Song | AARAKSHAN (KATTARWAAD 2.0) |
Artist | RAP ID |
Album | AARAKSHAN [Single] |
Written by | RAP ID |
Produced by | BURIAL MANTRA |
Aarakshan Rap ID Lyrics
So far here’s the ultimate goal of concern
I think none of us need any apprehension
None of us need have any doubt
But, my fear is i must express clearly is this
Kafi vivaad wali baat hai lekin
Lekin baatchit milke hi hogi
Main pahucha yahan ghis ghis ke
Dhakke khaye kis-kis ke
Par tu, tujhe to seat mil gayi hogi nahi
Ya fir aadat ho gayi hai mehnat na karne ki
Hai bhai ek wheelchair hogi
Sorry, frustration hai gussa hai aur jaayaz hai
Maine khud saha hai
Jab kamaai kharcha paani education
Sab tujh sa hai fark ye hai
Tujhe reservation dikhta hai
Mujhe dukhhta hai, mujhe dukhhta hai
To aaja same maidan pe
Dono ka background dekh
Tera baap raees meri maan
Majboor hai kaam pe
Middle class general
Mere liye kasoor mera sab jaan ke tu
Aarakshan maange naam pe dekh
Main ek nahi chaar sarkari naukri
Mein hota keval zaruratmando ko agar ye kota
Barabari ka dar nahi to barabari pe lad
Tu laayak hai tujhe kisne roka khair ye dosh agar
Tujh pe nahi hai to ye shoshan bhi mujh pe nahi hai
Lekin aajkal article 14 ke panne
Is mandbooti politics mein jaise chhup
Se gaye hain chhup se gaye
Aur main to bolta hoon main
To bolta hoon ki jaati sab
Mita dete hain wajood se na
Brahman na rajput na vaishya na
Shudra se jaana jaaye koi to
Jaana chahe apne noor se par
Bawajood is satya ke ek tathya
Bhi zarur hai reserve seat mein
Se aaj bhi 10 percent kyon
Hai jaati khaali kya khaali ek
Jaati hi saboot de laayak hone
Ka nalaayak raajneta loot rahe upar
Se tumko vote bhi fir jaati
Pe manzoor hai haryana mein jaat
Maharashtra mein maratha patel gujarat mein
Lingayat in karnataka lad rahe apne
Hak ke liye harsh kya hai
Ki apni aawaaz uthana samvidhan ke
Article 19 mein nahi aata aur
Fir tumhein hinduism se dikkat har
Ek geeta mein likha hai gunkarma
Vibhaagashah agar priyanka paul abhi vyakti
Ki azaadi to nahi chahiye abhi
Aisi vyakti ki azaadiyaan par khair
Har sikke ke do pehlu socha
Pehle main keh loon maine bola
Tune saahab ab tu bol thoda
Thoda main seh loon jai samvidhaan
Jai samvidhaan vivaad uthaane laga hoon
Bachpan mein nahi pata tha ki
Ye ye kaash kya hai lekin
Jab se padhe likhe mile apni
Chhupane laga hoon. aur tumhari tumhari
Gaadi mein lage speaker aur speaker
Se main bhi oonchi jaatiyaan pehchaanne
Laga hoon. aur jaati se mila
Aarakshan sabko dikhta hai
Lekin jaati se mila hua yeh bhedbhaav nahi
Aur ye wahi tatti samaaj hai
Jiski tatti peeth mein dhoi itne
Saal humko seat mili khairaat mein nahi
Aur kaun si barabari har
Taraf monopoly oonchi jaati matlab yahan
Ooncha audaar tere shabdakosh mein ise
Bhedbhaav bulaate ke nahi
Haan aur chatrapati shivaji maharaj
Ke raajya abhishek
Se aaj tak badla nahi haal
Kuch haal hi ke rivaaj tak
Baba saheb likh gaye samvidhaan lekin
Is besharm vidhaan ka ilaaj ho
Saka na aaj tak tu satya
Dekh zameen pe ye tathya hote
Kaagzi 10% kyunki utha na sake
Aaj bhi sar hamara soch li
To soch le naagaami ki had
Ka yahan har taraf tamaasha peen
Haryana mein jaat maharashtra mein maratha
Patel gujarat mein lingayat karnataka hak
Ke liye lad raha hai manipur
To chal raha hai jalne de
Kya ek aur aadha bol aur
Sharma ji ka ladka ka udaharan
Kaabiliyat ka jis samaaj mein usi
Samaaj mein jab maar gaali kyon
Agar vibhaag shav pe hota vishvaas
Dalit aam pujaari hote safaai karmachaari
Kyon tumhari thaali alag mere naseeb
Mein naali kyon tumhare gaane alag
Mere geet gawaare kyon kabhi akhbaar
Utha dekh matrimonial page caste space
Race har dharm se taar hai
Tu aur khoon mein to koi
Fark nahi hai na to kaise
Ye chamdi bataati hai ki ki
Kaun jaan dega apni sewage mein
Ghuskar ek varg ye chhodi chhaati
Doosri pe stan kar
Beta jhaankta zamaana nai
Cleavage mein poochh kar
Aur ye jaativaad kaanch ki deewar
Dekhni hai. in shaharon se nikal
Kabhi gaanv mein dekh
Dekhna hai dalit aaj bhi kahan rehta hai
Chhaav mein baitha hoon jaat ka
Uske paav mein dekh aur ye
Aarakshan khatam hoga jab bhedbhaav
Aur ye bhedbhaav jab intercaste vivaad nahi
Vivaah hoga aur main jaanta hoon
Apne ghar mein poochh. aaj bhi
Unka jawaab na hoga. dukhad hai
Par par ab na hoga. khair
Pehlu aur sikke ke do alag
Har bande ki soch to kyon
Na is is jaativaad zehniyat ko
Chhod bade insaaniyat ki
Or jai samvidhaan