Ankhun Se Qatra Baabarr Mudacer Lyrics

Ankhun Se Qatra Lyrics — Baabarr Mudacer

Song Details

Ankhun Se Qatra Baabarr Mudacer Lyrics

Akhun se qatra qatra
Daman pe gir gaya
Dil par tha bojh jitna
Saara utar gaya

Akhun se qatra qatra
Daman pe gir gaya
Dil par tha bojh jitna
Saara utar gaya

Ab roothna manana
Hota nahi kabhi
Woh shakhs mar gaya hai
Yeh shakhs mar gaya

Ab roothna manana
Hota nahi kabhi
Woh shakhs mar gaya hai
Yeh shakhs mar gaya

Kiska hua khasara maidan-e-ishq mein
Aaj kiska hua khasara maidan-e-ishq mein
Mera to dil gaya
Mera to dil gaya
Uska to sar gaya
Uska to sar gaya

Hai ishq kis liye ab hota hai raaygaan
Ab zindagi me meri shaamil nahi aram

Akhun se qatra qatra
Daman pe gir gaya
Dil par tha bojh jitna
Saara utar gaya

Patte hi gir gaye jab
Saare bahar mein
Patte hi gir gaye jab
Saare bahar mein

Udta hua woh panchi
Udta hua woh panchi
Pal mein bikhar gaya
Pal mein bikhar gaya

Usne nahi banaya fir aashiya kahin
Mausam ki saazishon se itna wo dar gaya

Akhun se qatra qatra
Daman pe gir gaya
Dil par tha bojh jitna
Saara utar gaya

Ab roothna manana
Hota nahi kabhi
Woh shakhs mar gaya hai
Yeh shakhs mar gaya

Haaye…

Dhoondhe se mil na paaya jaane kidhar gaya
Dhoondhe se mil na paaya jaane kidhar gaya
Dil mein utar gaya
Dil mein utar gaya
Ya dil se utar gaya
Ya dil se utar gaya

Bas ek hi main kab tak karta woh iktifa
Mubarak sa tha dil mubarak
Dil uska bhar gaya

Akhun se qatra qatra
Daman pe gir gaya
Dil par tha bojh jitna
Saara utar gaya

Ab roothna manana
Hota nahi kabhi
Woh shakhs mar gaya hai
Yeh shakhs mar gaya

Ab roothna manana
Hota nahi kabhi
Woh shakhs mar gaya hai
Yeh shakhs mar gaya

Yeh shakhs mar gaya
Yeh shakhs mar gaya

error: Content is protected !!