Intezaar Lyrics — Lit Noby ft. DEVEL

Song Details

Intezaar Lit Noby X DEVEL Lyrics

Intezaar tere aane ka kiya karte hai hum
Teri yaadon ke sahare hi jiya karte hai hum
Mere mann mai ek dar
Us tak baat ye na pohoche
Uske jaane ki wajah se hi piya karte hai hum
Mein chahta nahi woh pareshaan ho jaaye
Baat kare subha fir shaam ho jaaye
Woh milti nahi hai use pata hai ye baat
Aasani se jo mil jaata woh aam ho jaaye!

Aam ho jaaye woh kaash..
Mere naam ho jaaye woh kaash…
Mein kholunga nahi woh raaz
Ab milega nahi mera saath!
Nahi milegi meri aawaz
Ab hogi nahi teri baat!
Dikhi thi kal hi woh gali mai khadi
Na saamne aayi woh aaj
Aati bhi kaise woh saamne mere?
Dikhati bhi kaise tu chehra tera?
Tera na jaane mein konsa tha
Mujhe nahi pata mein tera tha kya?
Pyaar kiya maine pehli dafa
Pyaar thi bani tu pehla mera
Aaj bhi hoti taarife teri
Dil ke saath tune khela tha kya!
Aati hai teri ye yaadein roz, kabhi aayi nahi tu!
Sach maan leta tere jhooth saare
Di safai nahi kyu?
Kara ishq ye saccha maine
Wafa ye bhai nahi kyu?
Tere dil mai bacha ye pyaar
Mere liye tha hi nahi kyu?
Aane nahi mere paas tum
Kabhi hua karti meri khaas tum
Ye fasega fir se yu pyaar mai tere
Dil mera bada hai maasoom
Roke na ruke ye aansu
Tha pyaar nahi the saath kyu?
Kal saath mai rehne ke waadein kiye
Fir chodh gayi mujhe kyu aaj tu?

Intezaar tere aane ka kiya karte hai hum
Teri yaadon ke sahare hi jiya karte hai hum
Mere mann mai ek dar
Us tak baat ye na pohoche
Uske jaane ki wajah se hi piya karte hai hum
Mein chahta nahi woh pareshaan ho jaaye
Baat kare subha fir shaam ho jaaye
Woh milti nahi hai use pata hai ye baat
Aasani se jo mil jaata woh aam ho jaaye!

Ab tere saath mai kon?
Teri har baat mai kon?
Firega galiyon mai teri hamare baad
Aashiq aaj se kon?
Kon hai bata woh kon?
Jiska ye dil hoga maun
Teri aadaon pe hoga tabaah jo mere baad
Aaj se kon?
Ishq mai sauda kiya hoga aapne
Humne toh dil ye diya tha
Aapko parwaah kaha thi ki
Kon mara aur kon jiya tha?
Aapne ishq ke naam pe
Jakham diya aur rakh liya humne
Baad mai pata chala ki
Woh ishq nahi woh qafan diya tha
Qabar mai lete hue kare intezaar
Kabhi aao to sahi
Qafan jo diya tha ishq ke naam pe
Use chadhao toh sahi
Ab woh kon hai?
Jiske liye naya qafan sajaya hai aapne
Jiski qabar hai mere bagal mai
Usse milaao toh sahi
Aapse gila bhi kya hi kare hum?
Bada gumaan tha khud pe
Maan lo jeet li puri ye duniya
Pyaar mai haar ke tujhse
Ab kis muh se kahu ki
Wafa use kabhi raas na aayi
Aakhir pyaar thi woh mera aur
Hum qurbaan hai uspe!

Intezaar tere aane ka kiya karte hai hum
Teri yaadon ke sahare hi jiya karte hai hum
Mere mann mai ek dar
Us tak baat ye na pohoche
Uske jaane ki wajah se hi piya karte hai hum
Mein chahta nahi woh pareshaan ho jaaye
Baat kare subha fir shaam ho jaaye
Woh milti nahi hai use pata hai ye baat
Aasani se jo mil jaata woh aam ho jaaye!

error: Content is protected !!