| Song | Jhoom Ke Sawan Aaya |
| Artist | Swati Mishra |
| Album | Jhoom Ke Sawan Aaya [Single] |
| Written by | Swati Mishra |
| Produced by | Saregama Bhakti |
Jhoom Ke Sawan Aaya Swati Mishra Lyrics
Kitna jalaya khud ko
Tab tha Gauri ne Shiv ko paaya
Prem ka paath padhaane fir
Ye jhoom ke hai Saawan aaya
Shiv ki khaatir Maata Sati ne
Sadiyon tak khud ko tapaaya tha
Mehlon ki rajkumari ne
Sab hanste hanste gavaaya tha
Prem na dekhe dhan daulat
Bas Preetam mein sab sukh paaya
Prem ka paath padhaane fir
Ye jhoom ke hai Saawan aaya
Jodi Shiv Parvati jaisi
Poore Brahmaand mein kahin nahi
Khud ko agni mein daah kare
Aisi pativrata koi naari nahi
Maan ke ardh naarishwar ko
Shiv Shakti ne jag ye samaaya
Tyaag ka paath padhaane fir
Ye jhoom ke hai Saawan aaya
Kitna jalaya khud ko
Tab tha Gauri ne Shiv ko paaya
Prem ka paath padhaane fir
Ye jhoom ke hai Saawan aaya





