Song | Main Wahin Milunga |
Artist | Rahul Mishra |
Album | Main Wahin Milunga (Single) |
Written by | Kunaal Vermaa |
Produced by | Prasanna Suresh |
Main Wahin Milunga Rahul Mishra Lyrics
Jis jagah tha bujha khwab tera mera
Us jagah phir kabhi na savera hua
Jis jagah tha bujha khwab tera mera
Us jagah phir kabhi na savera hua
Jis gali ko gaya chhodkar tu kabhi
Main wahi aaj tak bhi hoon thehra hua
Kal jahan jeene marne ki kasam khayi
Laut aana agar waqt de zindagi
Wo jahan to ghadi manzile thi mili
Main wahi milunga
Main wahi milunga
Main jab tak jiyunga
Main wahi milunga
Ishq ki roshni ka samandar liye
Main jalata hoon yaadon ke aksar diye
Koi tanha dikhe to samajhna main hoon
Tere sajde mein baitha hua sar liye
Saath jis din mera chhod de zindagi
In labon pe tera naam ho aakhiri
Yaar ho jaun chahe agar khak bhi
Main wahi milunga
Main wahi milunga
Main jab tak jiyunga
Main wahi milunga
Kisi na kisi rang mein roop mein
Main kabhi chhaon mein to kabhi dhoop mein
Ya kabhi banke phir roshni
Main wahi milunga
Main wahi milunga
Main jab tak jiyunga
Main wahi milunga