Par Ab Jo Aayegi Tu Lyrics — AUR

Song Details

Par Ab Jo Aayegi Tu AUR Lyrics

Aankhein tere bina ye soti nahin hai
Raatein hoti nahin hai
Jab tu hoti nahin hai
Hoti hai teri fikr
Rehta hai dil mein ek dar
Ke dil mein veerani hai
Ab tu kab lautega ghar

Par ab jo aayegi tu
Mujhko na paayegi tu
Dil ko samjhaayegi tu
Main hoon yahi…
Dhoondhoge har gali mein
Phir miloonga nahin main
Kho jaaoonga kahin main
Tere liye…

Haan hai hansi tu par tu bewafa hai
Mujhe dhoondhna ab hi teri saza hai
Mujh mein mohabbat saanson ki tarah hai
Tum jo ab nahin ho to baaki bhi kya hai?

Dikhti hai chaandni jab
Chhat jaate hain ye baadal
Aise hi laakhon mein hum
Tujhko takte hain paagal
Aise hi karte hain sab duaaein ke ye barse
Par main chahta hoon ke ye barse na
Are ab jo barseinge ye
Chahat ko tarasoge tum
Mujhko hi dhoondhoge tum
Phir har jagah
Ab tum wafa bhi karoge to baaki rahega kya
Jisko na sunna tha wo ab kahega kya
Dastak bhi di thi par tumne kaha tha
Ke tumne suna hi nahin
Band kar diya hai ab dil ka ye darwaza
Tum tab kahaan the jab tanha main mar raha tha
Raato mein rota tha khud se main lad raha tha
Socha tha mar hi na jaaun kahin

Par ab jo aayegi tu
Mujhko na paayegi tu
Dil ko samjhaayegi tu
Main hoon yahi…
Dhoondhoge har gali mein
Phir miloonga nahin main
Kho jaaoonga kahin main
Tere liye…

Haan hai hansi tu par tu bewafa hai
Mujhe dhoondhna ab hi teri saza hai
Mujh mein mohabbat saanson ki tarah hai
Tum jo ab nahin ho to baaki bhi kya hai?

Haan hai hansi tu par tu bewafa hai
Mujhe dhoondhna ab hi teri saza hai
Mujh mein mohabbat saanson ki tarah hai
Tum jo ab nahin ho to baaki bhi kya hai?

error: Content is protected !!