Unchi Chaalang Lyrics — Bella

SongUnchi Chaalang
ArtistBella
AlbumIYKWIM [EP]
Written byBella
Produced byUZIII
Song Details

Unchi Chaalang Bella Lyrics

Jab tak is duniya mein ye
Nafrat, pyaar, paisa, shohrat, matlab
Rahega na yaar tab tak
Iss duniya ka bhala nahin ho sakta yaar
Wo upar wala tumhein dekh raha hai
Aur bol raha hai ki s^^t yeh kya bana diya bhai

(uziii hai kya)

Jo poore nahin hote sapne
Toh logon mein kami dikhe
Kamre mein dhuan aur meri
In aankhon mein halki si nami dikhe
Bura hai jo chala jaayega
Bella tu gaane nahin chala paayega
Haan, teri in feeling se farq nahin padta
Jo janta ko mile na commercial gaane
To kya ye gaane commercial hi hai
Commercial ka matlab nahin jaante tum
Paisa kamaane ka matlab hai kya
Yeh paisa uda ke hi jaante tum

Subah se jo lauta nahin ghar tak shaam mein
Uski koi chinta nahin jaante tum
Dukh nahin baant te maa ka
Khud ke baap ko baap nahin maante tum

Mera guna ke main sabhi pe yakeen karoon
Tere liye gaane likhoon
Tujhe feel karoon, paisa phenk meri aatma ko feed karoon
Mere baap ko main aaj bhi kyon dheet lagoon
Mere seene mein jo daldal hai zakhmon ka
Usi daldal pe kalam ki ye naav chale
Meri dhadkan ne likhi 100 kahaniyaan jo
Maine padh liye chalo wo bhi saath padhe

Inhein lage bella ko aur dukh nahin hai koi
Kyunki pehle wala bella gaane de raha tha
Dil se main abhi bhi to gaane de raha dil se
Par in gaanon ke liye nahin jala tere dil mein
Akela baitha khelta hoon ps5 pasand
Nahin aati mujhe bollywood ki filmein
Wo ghisi piti kahani hai phir se
Jise dekh bachhe kuch bhi nahin seekhte

Mera maksad hai logon ko
Dena kahani ya keh doon main jeene ke maayne
Khabar aayegi ke parachute dead mujhe marne se
Pehle yahan sab kuch dikhai de
Mera ishwar kahe tere liye duniya nahin bani beta aaja
Mere paas chal ab fir se ek duniya banaye chal
Par wada insaan nahin banayenge

Thooku main soch pe teri
Kari nahin maine khud ko khojne mein deri
Safar mera shivpuri se leke andheri tak
Fuddu sa ye ladka bana hustle winner mere kal
Haan, milaata nahin main haan mein haan
Mujhe jhele honge thanedaar
Poocha mujhe gaata kya tu
Jab maine bola rap to wo bhi bola hans ke chal
Be isse kamata kya tu

Sasti hai life, mehngi hai soch
Khud ko na khoj tu khud ko kharoch
Tab hogi tujhe thodi si ghutan haan
Tab hoga tera jeene ka bhi man haan
Tab padega nahin kisi ko dikhana

Kyon liya tune chaar kadam peeche fir ek unchi chhalaang
Kameena meri khooni zabaan
Tabhi to haath mere lahu-luhan
Main khush bhale mera chhota makaan
Mili shiksha jo kal se mujhe
Woh mere kal tak jaayegi
Meri aatma marne pe
Mera sach batayegi
Meri maut aayegi par
Mera sarr dabayegi mein maut ke liye dukhi
Ke wo mar nahin paayegi

Main bola na zamaana ho gaya hai mujhe
Zamaane se nazrein milaaye haan
Haan main bola bhi ke mera kuch na jaaye
Jo tu mere gaane sune magar dil mein basaaye na
Jab aansoo utarte hain aankhon se neeche
Tu hothon se pee bhi na paayega

Jab maya ke haath mein hogi yeh gardan
Tu khul ke chilla bhi na paayega
Toh bas karna dost tu dena mat dosh
Jab papa pe paise na ho toh
Tu saanson ko thaam kapde to hain
Par kya farq mehngi na ho toh
Woh baatein na kar jin baaton ka faayda ho par
Maaye na hona main bhool hi na paaunga

Channd paiso ke peeche, mere bhai ka rona
Tu ho sake to phenk de naqaab
Fir dekh kaise paayega aaraam
Jo mehnat ki roti na khaayega to bole haraam
Par paise pe thoke salaam, sadd gayi hai laashen yahan
Par dil bhi dhadak raha hai
Tu kutte ki zindagi jee raha hai
Tujh mein aur usmein koi farq kahaan hai?

Liye jo chaar kadam maine peeche to
Maari hai oonchi chhalaange
Ab meri tarah hi sochte
Mere deewane… ho chuka tang main mere is dil se
Aur mere khud ke dimaag se
Jaaraha mein chhod ke meri ye life ko
Jaane ja tere hawaale
Ab mujhe aisa lagta hai ki
Shayad tujhe pata hai main
Kya bol raha hoon
Now you know what i mean right?

Agar fir bhi tere dil pe koi asar nahin padta hai
Aur fir bhi tu waise hi rehna chahta hai
Jaisa tu hai, toh mubarak meri jaan tu is
Duniya ke kaabil nahin hai

error: Content is protected !!